Mitr to the tum...
Ye tohfa kyun inayat kar gaye?
Dard nawazish kiya to tha...
Ye naqaad aaina kyun dar kar gaye?
Takmeel ki talab mein...
Kyun humein Aib-dar kar gaye?
Kya karun is aaine ka?
Lauta dun tumhare dar pe?
Magar tum the ya na sahi..
Mitr hum to huey ibadat se.
Vaise bhi Ye len den ki afra tafri..
Amavas si chipak jaati hai ruh pe.
Ye aaina chur kardenge hum...
Takmeel sa ek honsla inayat hai, usse.
Tasalli rakho, aankhein tumhari..
Na bharayengi iski chubh se.
Itna barik chur karenge ki...
Dhuan hi ho jayega wazood se.
Azaadi isse bhi..tumhe bhi...
Azaadi isse bhi...humein bhi...tum se.
No comments:
Post a Comment